Dysphoric Milk Ejection Reflex Kya Hota Hai?

By:Zoya

Maa ka bachay ko apna doodh pilana maa aur bachay dono ke liye faiday mand hai. Maa ka doodh jahan bachay ko infection, diarrhoea aur sans ki bimariyon se mehfuz rehnay mein madad daita hai wahi maa ko bhi chati aur ovary ke cancer aur deegar bemariyon sey mehfooz rakhta hai lekin baaz auqaat maayen aik khas jaizbati kaifiat ke bais bachay ko apna doodh pilana chor daiti hain. Is kaifiat ko Dysphoric Milk Ejection Reflex kehtay hain aur ye kaifiat bohat kam khawateen mein payi jati hai. Aiye jantay hain ke doodh pilanay wali maayen is kaifiat ka shikar kyun hoti hain. Maa bannay ke baad aurat ke hormones mein tabdeeliyan roonuma hoti hain. Inhi hormones ki tabdeelion ki waja se maa aur bachay mein mohabat ka taluq mazboot banta hai. In hormones mein oxytocin, prolactin, dopamine aur estrogen shamil hain. Lekin baaz auqaat na maloom wujuhaat ki bina pe dopamine hormone ki miqdar mein ghair mamooli tabdeelian ati hain. Jis ke nateejay mein khawateen per Dysphoric Milk Ejection Reflex naami kaifiyat tari ho jati hai aur mutasra khawateen bachay ko apna doodh pilana chor daiti hai. Aaj hum issi ke baray mein baat karein gay. Dosto, yeh aik aesi jazbati kaifiyat hai jiss mein doodh pilanay wali maan ghussa, ghabrahat, bay chaini aur afsurdagi mehsus kerti hai. Ziada tar maaon mein yeh jazbat bohat mamuli noiyat ke hotay hain lekin kuch maaon mein in ki shiddat iss qadar ziada hoti hai ke wo apnay aap ko nuqsan pohnchanay ke baray mein bhi sochanay lagti hain. Lekin yeh sab bus thori he dair ke liye hota hai. Dosto, Tehqeeq me yeh baat samnay ayi hai ke bohat kam maaien Dysphoric Milk Ejection Reflex se mutasir hoti hain. Aur waqat guzarnay ke sath iss ki alamat ki shiddat mein kami aana shuroo ho jati hai aur aksar khawateen zachgi ke baad, 3 mah ke ander he Dysphoric Milk Ejection Reflex se nijat hasil ker laiti hain. Lehaza bachay ko apna doodh kam az kam 2 saal tak pilaen kyun ke iss mein mojood antibodies aap ke bachay ko bohat si beemarion se larnay mein madad dain gi. Lekin agar ye kaifiyat shiddat ikhtayar kar jaye aur alamaat bhi shidat se zahir hon toh doctor se foran rujoo karein aur doctor ke mashwaray per amal karein.



Back to List