Delivery (Zachgi) Ke Baad Ka Zehni Dabao

By:Zoya

Agar delivery yani zachgi ke baad aap zehni dabao ka shikar hain. Toh iss afsurdagi, bechaini aur khof mein aap tanha nahi. Aik mohtat andazay ke mutabiq 50% se 80% nai man’en zehni dabao mehsus kerti hain. Aiye aap ko iss zehni dabao ki wajuhat, iqsam, alamat, iss se bachne ki tips aur ilaj ke baray mein batatay hein. Saheliyo, Zachgi ke baad aurat ke hormones mein tabdeeliyan ati hain jo ke zehni dabao ki sab se bari wajah hein. Pregnancy se pehlay depression ki mojoodgi, kam umri aur ziada waqt akelay rehna bhi zachgi ke baad zehni dabao ka sabab ban sakta hai. Iss zehni dabao ko teen categories mein taqseem kya gaya hai.

● Pehli category ko Baby Blues kehtay hain. Iss kaifiat mein mood badalta rehta hai. Maan kabhi, preshan ya be-chain toh kabhi jazbati ho jati hai. Is ke ialwa bhook kam lagti hai aur sonay mein bhi mushkil paish aa sakti hai. Her 5 mein se 4 ma’en Baby Blues se mutasir hoti hain. Lekin achi baat yeh hai ke ye kaifiat ziada se ziada 2 haftay mein khud ba khud khatam ho jati hai aur iss ke liye baqaida ilaj ki zarurat nahi parti.

● Zehni dabao ki doosri qism ko Postpartum Depression kehtay hain. Yeh Baby Blues ki nisbat ziada shadeed hota hai aur lambay arsay tak rehta hai. Lekin yeh nisbatan kam khawateen ko hota hai. Iski alamaat main neend ka kam ana ya bilkul na ana, bezari, jhunjhlahat, samajhny main mushkil paish anaa aur mayoosi shamil hain. Iss kaifiat ka ilaj adviat aur talk therapy ke sath kya jata hai.

● Zachgi ke baad ke zehni dabao ki teesry qisam baqi dono iqsam ki nisbat ziada shadeed hoti hai. Issay Postpartum Psychosis kehtay hain aur yeh her 1,000 ma’on mein se mehaz 1 ya 2 ko hoti hai. Iski alamaat mein bhook na lagna, neend na ana, doosron se bharosa uth jana, awazein sunayi dena aur cheezain dikhahi dena jo haqeeqat mein maujood na hon, shmamil hain. Is kaifiat ka ilaj bhi mumkin hai lekin iss mein fori tor pe doctor ki madad darkar hoti hai warna ma’an khud ko, bachay ko ya dosron ko nuqsan bhi pohncha sakti hai. Zachgi ke baad ke zehni dabao se nikalne ke liye kuch azmooda tips yeh hein:

● Jab bacha so jai toh aap bhi so jaien.

● Halki Phulki warsish zaror karein.

● Mutawazan aur sehatmand ghiza khayen

● Apny aram ke liye waqt zaroor nikalain

● Apni neend poori karain

● Doston ya family ke sath khushgawar waqt guzarain

● Aur agar zehni dabao ziada shadeed ho toh doctor se rujoo karein. Maan bannay ka amal sirf jismani nahi balke zehani aur nafsiati mushaqat wala amal bhi hai. Is waqt mein aurat ko sakht nigehdasht aur tawajo ki zaroorat hoti hai. Lehaza agar nayi maaon mein batayi gayi alamaat zahir hon tau un se narmi se bartao karain aur doctor se rujoo karein.



Back to List