Chaati ka Cancer Aur Iski Alamaat

By:Zoya

Dosto! Aap ki sehat aham hai. Isi liye khawateen main payi janay wali beemarion ke mutaliq aap ko ilm hona chahiye aur ye bhi ke in se bachao kis tarah mumkin hai. Khawateen ki beemarion main breast cancer yani chaati ka cancer aik muhlik bemari hai. Aur tehqeeq ke mutabiq Pakistan mein har 9 mein se 1 aurat zindagi mein kabhi na kabhi breast cancer mein mubtala hoti hai lekin aksar khawateen agaahi na hony ki wajah se barwaqt ilaaj se mehroom rehti hain. Breast cancer ya chaati ka cancer aisi bimari hai jis mein chaati ke khuliye khud ba khud barhnay lagty hain jis ki waja se chaati mein giltiyan bannay lagti hain ya deegar tadeeliyan roonuma hoti hain. Ye beemari mouroosi bhi ho sakti hai lekin baaz auqaat deegar wajuhaat maslan sehat ke naqas iqdamat ki waja se bhi chati ka cancer ho sakta hai. Aiye mein aap ko chaati ke cancer aur is ki ibtedai alaamat ke baray mein batati hon. Jin mein shamil hain.

● Chaati ke kuch hisay ya tamam hison mein soojan

● Chaati ki jild mein sangtary ke chilkay jaisy garhon ka namudar hona

● Nipple ya chaati ki jild ka surkh hona

● Chaati ya nipple mein dard

● Nipple retraction yani nipple ka andar ki taraf murr jana

● Nipple se surkh, peeli ya bhuri rangat ki ratoobat nikalna

● Aik chaati ka dusri ki nisbat size mein barh jana

● Baghlon ke qareeb soojan ya gilti ban’na.

Agar barwaqt ilaj na ho tau alamaat sangeen bhi ho sakti hain aur beemari aglay marhlay mein dakhil ho jati hai. Breast cancer ki stage 2 ko invasive breast cancer kehtay hain aur is ki alamaat stage 1 se kuch mukhtalif hoti hain. Maslan:

● Chati mein kharish ya jalan hona

● Chati ki rangat mein tabdeeli

● Chati ke size ya shape mein waqt guzarne ke sath tabdeeli ana

● Chaati ka darja hararat mamool se zeyada hona, soojan zada mehsoos hona ya dukhna shamil hein.

Yaad rakhain ke chaati ke cancer ki agar shuru main hi tashkhees ho jaye tau is ka ilaj karna asaan hota hai. Lekin stage 2 pe ilaj ke sangeen tareeqay ikhteyar karnay partay hain. Lehaza apni chaati ka baqayedagi se khud muayena karti rahain aur agar koi tabdeeli nazar aye ya ooper batayi gayi alamaat mein se koi alamat zahir ho tau fori doctor se rujoo karen. Doctor ki tajweez ke mutabiq mammogram, biopsy, MRI, ultrasound ya tashkhees ke dusray tarikon ke zariye apna mukamal muaina karwayen.



Back to List