Maskne Kya Hai Aur Iss Se Kese Bachain?

By:Zoya

Dosto! Corona virus ki waja se mask hamari zindagi aur libas ka hisa ban chuka hai. Ye mask humein tahfuz to muhiya karta hai magar ye jild ki kharish, masamon ko band karne aur mahason ka bayis bhi ban sakta hai. Mask pehanany ki waja se nikalne walay mahason ko ‘Maskne’ kahty hain aur ye zeyada tar doctors, nurses, paramedical staff ya aisy afrad ko hoti hai jo mask ko ziada dair tak pehan ke rakhtay hein. Maskne ki nikalne ki kuch wajuhat hain. Aiye in wajuhat per nazar dalty hain ta ke hum maskne ko rokny ke liye ehtiyati tadabeer kar sakyn. Ragar: Mask ragar ki waja se jalan ka sabab banty hain. Sab se ziada ragar ka khatra, naak ka bansa aur kaan ke pichay rubber band ki jagah per hota hai. Musalsal dabao ki waja se jild per maskne ban jati hai. Jalan aur sozish: Mask ka kapra jild se sebum yani jild ka qudrati tail jazab kar leta hai jis se jild khushk aur hasas ho jati hai. Aur jild pe jalan aur sozish ka ehsaas hota hai. Jis se jild surkh ho jati hai, siyah dhabay aur maskne ban sakti hai. Jaraseem peda hona: Mask ke neechay aap ki saans ki waja se aap ki jild num aur garm hoti hai jis se bacteria aur jaraseem ke bharny ka imkan ziada ho jata hai jo baad mein maskne ka bayis ban sakty hain. Lekin is waja se mask pehna chornay ki zarurat nahi kyun ke chand karamad tips pe amal kar ke maskne se bacha ja sakta hai. Maslan,

● Mask pehnnay se pehlay apna chehra face wash se dho lein ta ke gard ya oil achy se saaf ho jaye. Chehray ko ragar ke mat dhoyen aur neem garam pani istemal karein.

● Chehray per oil aur khushbu se pak ho moisturizer lagayen. Hifazati ajza jaisy ceramide and hyaluronic acid walay moisturizer ka istemal karen ta ke apki jild mask ki ragar se mehfoz rahy.

● Mask lagany se pehle make up hargiz mat karen, warna apki jild ke masam band ho kar maskne ka bayis banyn gey.

● Agar aap kapray ka mask istemal karte hain toh issay rozana surf aur garam pani se dhoyain.

● Surgical mask aik din se zeyada istamal mat karain.

● Kaan ke peechay ki jild ko kharish aur jalan se bachany ke liye, elastic band ko clip se jor den.

Umeed karti hon ke in ehtiyati tadabeer per amal pera ho kar aap apni jild ko maskne se mehfoz rakh sakyn gy. Dosto, ehtiat se Maskne ko roka ja sakta hai lekin mask ke baghair corona se nahi lara ja sakta. Lehaza baher jatay huwe mask zaroor pehnain.



Back to List