Corona Lockdown Mein Wazan Barhney Se Pareshan?

By:Zoya

Jahan corona virus ne poori duniya mein tabahi macha di hey wahan is virus ki wajah se humari sehat par bohat se indirect asraat bhi dekhnay ko mil rahey hein. In mein se aik weight gain yaani motapa ya wazn mein izafa hey. Kyoun k hum mein se baishtar afraad apney gharon tak mehdood hein, jahan warzish k muwaqay mayassar nahi aur boriyat k baees naye naye khaaney try karney par zor hey, wahan wazn ka barhna koi hairan kun baat nahi. Par iska yeh matlab bhi nahi k app is ko rok nahi saktey. Dosto, mein bataney jaa rahi hoon apko 10 aiasey khaaney jinsey ijtanab karne se ap wazn kum kar saktey hein.

1. Chaawal (White Rice) - Chaawal, khas tor par white rice jaisey Basmati ya Sela, aik processed, high calorie khaana hey jo k aasani se hazm ho jaata hey. Is wajah se kuch hi dair baad humey dobara bhook lag jaati hey. 1 plate Chaawal ki jagha chakki k pissey aatey ki 1 roti apko zyada daer tak chust bhi rakhey gi aur mota bhi nahi honay dey gi.

2. Dabal roti (White Bread) - Dabal roti yaani bread ka istimaal kam se kam karein. Is mein na tau ghizayat hey aur na hi yeh ap k nizam e hazm ko koi faida pohanchati hey. Is k bar aks bread ka rozana istimaal ap k wazn mein ghair zarori izafa karta hey. Behtar hey k naashtey mien app porridge yani daliya ya phir aik roti kha lein. Parathay ka sochein bhi mut!

3. Instant noodles - Kisi zamaney mein yeh meray pasandeeda hotey thay par jaisey jaisey mein tehkeek karti gayi wesay wesay pata lagaa k yeh chaskaydaar noodles humari sehat k liye kaafi nuksaan de hein. Is mein wafir miqdar mein sodium aur ghair sehat bakhsh saturated fats shamil hote hein jab ke inko mazeydaar bananey k liye flavoring powder ka istemal kia jata hai jis ke aam ajza mein cheeni, namak aur chinese salt (MSG) jo k aik banned chemical hey shamil hota hey. In mein na fibre hota hey aur na hi munasib protein jo humari sehat k liye bohat zaroori hein. Instant noodles ka rozana istimaal na sirf apko mota karey ga bulka kuch hi arsa mein apko ziabatese aur dil ki bimariyon mein bhi mubtala kar dey ga.

4. Cheeni (White Sugar) - Tehkeek k mutabik cheeni humarey ooper ussi tarahan asar andaz hoti hai jaisey manshiyaat. Cheeni ki latt kisi nashey sey kam nahi, aur yeh humarai sehat k liye kaafi nuksaan de hey, khasoosan safaid cheeni jo k aik dum wazn barhaati hey aur ziabatese ka #1 sabab hey. Iski jagha khalis shahad ya gurh ka istimaal behtar hey magar wo bhi 1 - 2 tsp rozana se zyada nahi.

5. Aaloo (Potatoes) - Agar app jald wazn kum karna chahtey hein tau aaloo k parathon, bhujia aur chips se duur rahein. Aaloo aik high carb food hey jis mein protein aur fiber ki miqdaar zyada nahi. Agarchay makhsoos miqdaar mein khaya jaye tau yeh bharpoor giza hey magar weightloss k liye tajweez karda nahi, khaas tor par jis tarah hum issey pakatey hein. Aaalo ki jagha tori ya kaddu ka istimaal behtar hey.

6. Cold Drinks (Colas, Sodas) - Cold drinks yani k Pepsi, Coke, Sprite waghera ki humari diet mein koi jagha nahi honi chahiyeh. Yeh processed drinks hein jo ke cheeni aur masnooi chemicals se bharri hoti hein. 1 glass Pepsi mein taqbreeban 9 tsp cheeni hoti hey. In ka rozana istimaal na sirf apko mota karey ga bulkey bohat si bimariyon ka sabab bhi baney ga.

7. Meetha (Mithai, Cakes, Biscuits, Icecreams etc.) - Agarcha yeh meri favorite cheezein hein magar wazan kam karney mein bilkul fail. In mein cheeni, maida, makhan ki miqdaar ki wajha se aap aik dum wazan gain karein gey, khasoosan ajkal k dino mein jab ghar pe exercise karna mushkil lagta hey. Meethy ki bajaye din mein aik cup kisi phal ka istimaal karein.

8. Ketchup, Chili Garlic Sauce, Mayonnaise - Yeh tamaam masnooaat wazn kum karney mein apki dost nahein. Flavorings aur cheeni se bhaari in ashyaa ki thori si miqdaar bhi ap k nizam-e-hazm par manfi asar daalti hein. Inki jagah, podiney aur sabz mirch ki chatni ka istimaal karein.

9. Talli hui cheezein - Pakoray, samosay, fried chicken, chips waghera se duur rahein, khasoosan ajkal jab jismaani sargarmi kaafi kam hey. In ki bajaye, kachi sabziyon aur salaad ka istimaal karein. Beshak zaiqay ke liye thora chaat masala daal lein.

10. Barra gosht - Khasoosan charbi k saath qeema, aur gosht curry waghera. Is ki bijaye, 1 chicken breast ya 1 cup chottey gosht ka istimaal lunch ya dinner mein karna behtar hey. Yeh wo chand cheezein hein jin k istimaal mein kammi se ap foran wazan ko control kar saktey hein.

Yaad rakhein k wazan kam karna aik amal hey, choo mantar jadoo nahi. In points k sath sath apni giza mein taaza sabziyon aur pani ka istimaal zyada kerin aur aik waqt ke khaaney ki miqdaar ko aik chotti plate tak mehdood karein.



Back to List