Gharelu Tashadud Ke Khilaaf Chand Tadabeer

By:Zoya

Gharelu tashadud humarey ma'shary ka aik barhta hua sangeen masla hai. Iski zad mein aaney wali jaanein zulm o sitam ke nishanay par roz jeeti hain. Covid 19 ki waja se kai log berozgaar ho gaye hain ya ghar se apne kam anjaam de rahay hain, is ghute hoye mahaul ki waja se kai gharo main gharelu tashadud uraan charh raha hai. Aisa hargiz nahi k gharelu tashadud kisi waja se kiya ja raha ho tou yeh jaiz hai, yani tension ya pareshani ki tehash main a ker, yaad rakhiye ye zulm gunah hai aur har haal main gunahgar ko saza aur zulm sehne walon ko fori madad aur imdad milni chahiye. Dosto agar aap gharelu tashadud ke shikaar hain tou neeche di gayi hidayaat ke zariye se aap apne aap ko aur tashadud ke shikaar baki afraad ko mehfooz kar sakte hain.

1. Musalsal Kisi Se Rabte Main Rehna Agar aap ko gharelu tashadud ka khadsha hai tou zaroor kisi dost ya rishtedaar se rabte main rahain. Ye koi aisa insaan hona chahiye jo aap ke contact number aur ghar ke pate se waqif ho aur roz aap se rabte main rahay. Yahan tak ke kisi mushkil sooratehal main jab aap message ya call ka jawab na dein tou wo fori alert hojaye aur aap ki madad ke liye pohanch jaye. Behtar hey k app inka number apney phone par ‘speed dial’ list mein daal lein ta k aik button daba kar hi inn se rabta kayam ho jaye.

2. Tayari aur Ehtiyat Apne zaroori kaghazaat jin main apka ID Card, passport, degree waghera shamil hein, first aid box, paisay, kapre, phone aur charger aur emergency contacts ki list aik bag main tayaar rakhain. Is se aap ko jald bazi main agar bhagna pare tou apka tamam zaroori samaan ap k pass hoga aur ap kisi mehfooz jagah jaa kar phone k zariye madad mang sakti hein.

3. Gharelu Tashadud Aur Mental Health Gharelu tashadud ke asaraat zindagi bhar tak rehtay hein, chahey app usko peechay hi kyoun na chorr aye hon. Jismani zakham tau shayad theekh ho jayein, zehni dabao umar bhar ka rog ban sakta hey. Lehaza zaroori hai k aap kisi achay counsellor ya psychologist ki madad lein kyun ke tashadud sehne walay afraad Post Traumatic Stress Disorder, anixety, khauf mayoosi aur depression ka aksar shikaar ho jatey hein. Zaroori hey k app yeh samjhein k gharelu tashadud apki kisi ghalti ka nateeja na tha na hoga. Yeh sirf or sirf us zalim k kirdaar aur dimaghi tawazun ki akaasi karta hey.

4. Saboot Aur Saza Gharelu tashadud aik aisa masla hai jo ghar ki chaar divari main hi dab ke reh jata hai agar zulm sehne wala awaaz na uthaye. Agar aap ko is tarhan ke zulm ka samna hai tou apne zakhmon ki tasaweer kheench ke apne paas zaroor rakhain. Is ke illawa aur kisi tarhan ka saboot jo ye sabit kar sakay ke aap tashadud ka shikaar thay tou wo ikhata kar ke sambhal lein. Aksar aise cases main saboot ke bina mujrim ko saza nahi milti jis ki waja se wo bagair saza paye azaad rehta hai aur kai cases main apne puranay shikaar ko tehash main a kar tashadud ka phir nishana bana sakta hai.

5. Akal Se Kaam Lein Aur Chaukana Rahain Gharelu ziadti karne walay pr har dam nazar rakhain takay jab aap ko unki taraf se khatra mehsoos ho aap wahan se nikal sakain. Is ke illawa agar aap pe tashadud karne wala aap se kuch mang raha ho tou us ka jawab dein takay aap us ke tashadud se bach sakain.

6. Nai Zindagi Agahi Ke Sath Gharelu tashadud se chutkara pane ke baad bhi aksar cases main mulzim apne shikaar ka dobara peecha aur harasa karta hai. Agar aap apne abuser se nijaat pa chukay hain tou apni hifazat ke liye fori apne dosto, ghar walon, daftar aur degar log jin ko aap ka abuser janta/janti ho itelah dain takay aap ka pata ya number mujrim ko na mil jaye jis se wo aap ko koi nuksan pohancha sakay. Apna number, ghar ka pata, social media, bank accounts, daftar sab tabdeel kar lain takay kisi bhi tareekay se ziadti karne wala shaks aap tak na pohanch sakay aur aap apni zindagi ko mehooz tareeqay se jiyen.

• Madad Ke Liye Kin Se Rujuh Kiya Ja Sakta Hai? Gharelu tashadud ka shikaar hone ki soorat main madad ke liye aap neeche darj ki gayi helplines se rabta kar sakte hain

1. Government of Pakistan helpline: Is number se aap 10 am to 10 pm tak madad hasil kar sakte hain 1099 for landline calls aur 0333-9085709 Whatsapp call aur message ke zariye rabte ke liye.

2. Punjab Commission on the Status of Women ki taraf se Punjab ki aurton ke liye helpline jo 24 ghante sath din (7 days) madad ke liye maujood hai 1043

3. http://madadgaar.org/ Is webiste ke zariye aap apni darkhawast darj karwa sakte hain- 111-911-922

4. Aurat Foundation: 021-35824694

5. Shirkat Gah KHI: 021-34322162(63), 34322130 LHR: 042-35838815, 35886267(8) PEW: 091-5703567, 5846113

6. Sindh Legal Aid: 0800-70806 Aksar khawateen ma'shary, bachon aur ghar bachanay ki khatir gharelu tashadud sehti rehti hain.

Ye faisla na tou sirf unki aziat mazeed barhata hai jab ke unke bache bhi tashadud ka nishane bante hain. Isiliye apne liye awaaz uthaye takay is gunah ko ma'sharay se khatam kiya ja sake.



Back to List