Coronavirus Sey Sehatyab Hony Ke Baad Kiya Karna Chahiye?

By:Zoya

Dosto Covid 19 apne aap main taizi se phelne wali jaan leva bemari hai laikin kai logo ne is ko shikast bhi di hai. Is bemari se logo ki sehat yaab hone ki sharah,sharah amwaat se kai ziada hai. Pakistan ka Corona recovery rate Pak Covid 19 tracker ke mutabiq 37.9 % hai. Ye percentage aik bohat ahem fatah ki nishaandehi karti hai. Magar sawaal ye hai ke Covid 19 se sehat yaab hone ke baad kin cheezon ka khayal rakhna chahiye aur kin cheezon ko mad e nazar rakhna khasa ehem hai. Sab se pehle agar aap Corona virus se recover kar chukay hain is ka matlab aap ke jism main antibodies ne virus ko shikast de di hai. Antibodies body main phelnay walay viruse ko pehchanti hai takay dobara infection ki soorat main us se lar sakay isi ko immunity yani quwat e mudafiat kehte hain. Kissi Virus ke khilaf quwat e mudafiat paida honay ke baad bhi is ki vaccine shots lena zaroori hai kyunke us immunity ki mudat ka andaza nai lagaya ja sakta.  Aap COVID 19 free hain kaisay pata lagaya ja sakta hai? Agar aap bukhaar, flu, fever ki medication ke baghair 3 se 4 mutawatir din guzar lein ya is ke sath alamaat main behtri aye ya phir Covid 19 test 2 baar 24 ghante ke waqfay par manfi aye tou ye sehat yaabi ki nishaani hai.  Korea ke Center for Disease Control and Prevention ke mutabiq sehatyaab honay walay afraad main virus phir se 'reactivate' ho sakta hai. Is soorat e haal main 14 din tak mazeed quarantine main rehne ki hidayat di gai hai. Jo afraad Covid 19 se chutkara hasil kar chukay hain wo quarantine se bahar anay ke baad wohi sops follow karain jo ke tamam logo ko karna lazim hain. Workplace aur ghar main safai ja khayaal, hath dhotay rehna aur logon se milna avoid karain.  Is ke illawa aap apna plasma bhi donate kar sakte hain takay aap ke wasilay se jaanay bach sakain karain!



Back to List