Agar Coronavirus Ki Awaz Hoti Toh Kaisi Hoti?

By:Zoya

Coronvirus ki vaccine pey research kay doraan, MIT kay science daano ne coronavirus ke structure ko mauseeqi ki dhun main dhaala taa kay wo corona virus ko behtar taur pey samajh sakain aur iss ka ilaj dareyaft kar sakain. Corona virus mukhtalif amino acids se bana hua hey. Sciencedoaano ney har amino acid ko aik mukhtalif music note diya aur in tamam notes ko aik super intelligent computer program se guzara. Youn mahireen 110 minute kay duaraniye pe mushtamil aik dhun tayar karnay main kamyab huey jisay souncloud pe muft suna ja sakta hai. Iss dhun sey science daano ko yeh baat samajhnay main asaani huyi kay virus kis tarah jism kay khuliyon pe hamla karta hai.  Agar science daan corona virus main paye Janay wali proteins ki dhun se milti julti dhun wali proteins dareyaft karnay main kamyab ho jatay hain. Tau un proteins kay zariye corona virus ka khatma mumkin ho sakta hai.



Back to List