Corona Ke Douran Train Ka Safar

By:Zoya

Corona ke doraan ticket ghar aur booking office band hon gay aur booking sirf online hogi. Train rawangi se 24 ghantay qabal online booking band kar di jaye gi. Sirf booking walay musafir hi station main dakhil ho sakain gay aur baqi log station se bahir rahain gay. Musafir apnay mask, sabin aur dastanay apnay sath lay kar ayen gay warna train main safar na kar sakain gay. Satation par maujood tea stall band hon gay. Is liye musafir apna samaan sath lay kar ayen. Har bogie main 78 ki bajaye 60 musafir safar kar sakain gay aur business class ke room main 6 ki bajaye 4 musafir hon gay. Bogie ke darwazay sirf railway station pe khulain gay aur har bogie main railway mulazim maujood rahay ga. Apnay mobile main se ticket wala message aap ne khud nikaalna aur dikhana ho ga. Guard aap ke mobile ko hath nahi lagaye ga. Station par ya train ke andar kisi bhi musafir ka Corona test musbat aya tau usay foran qaranteena Koch main muntaqil kiya jaye ga.



Back to List