Corona Test Musbat Anay Per Kia Karna Chahiye?

By:Zoya

Test positive anay ki soorat main fori apne family members ka bhi test karwaye takay Covid 19 positive afraad aur negative afraad ko allaidha kiya ja sakay. Is say virus puri family main phelne se bach sakta hai. 1.Jin afraad se aap guzishta chand dino main milain hon apne test ki italaah dein takay wo bhi agah ho jain aur apna test karawaye aur barwaqt ghar walon se apne aap ko dur kar sakain. Ye aik nihayat ehem amal hai. 2.Covid 19 kyunke kuch logo par ziada sanjeeda zahir hota hai aur kuch logo main sirf kuch hi alamaat zahir hoti hain tou isiliye kuch log apni kaifiat ki waja se hospital shift honay par majboor hotay hain. Agar ap ke alamaat khasay kam hain tou ghar par hi apne aap ko isolate karain magar apne zahir honay walay alamaat ko home remedies ke zariye ilaaj mat karain. Is doraan quwat e mudafiat barhanay walay phal sabzi ziada se ziada khanay main istemaal karain. 3. Dr. Kashif rizvi M. D FRCP (consultant physician) ke mutabiq result musbat anay par vitamin C tablets ka roz istemaal karain illawa is ke pani, juice peetay rahain jab ke caffeinated drinks ka istemal rok dein. Nebulizer ka istemal mat karain kyunke ye khansi bharaye ga jis se ird gird jaraseem phelne ka khadshah hai. 4. Oxygen level mad e nazar rakhain. 94 feesad se neeche ho tou doctor ko itilah dein. Sans main dushwari ki soorat main rozana teen ghantay pait ke bal letay. Ye amal sans lenay main madad karta hai. 5. Apne aap ko saaf rakhain, mask, sanitizer ka istemal karna aur waqfay waqfay se hath dhona mat bhoolain. 6. Is soorat e haal main ghar se bilkul mat niklain kyunke is se virus mazeed phelay ga. Apni halat ka jaiza letay rahain aur kisi health expert se musalsal is doraniya rabtay main rahain. News dekhne se guraiz karain kyun ke is waqt apni mental health ka bhi khayal rakhna bohat zaroori hai. Ghar walon, dosto aur rishtedaaro se social media ke zariye se rabtay main rahain. 7. WHO ki website se hi agahi ke liye rujuh karain baqi gair verified sites pe janay se guraiz karain. Ghabrana nahi hai balke himmat se kaam lena hai. Agar aap kisi COVID 19 positive shaks ko jantay hain tou un se ye video share karain.



Back to List