Agar Corona Ke Mareez Sey Milnay Ka Itfaq Ho?

By:Zoya

Agar apko khadsha hey k ap ya ap k ghar mien se kisi fard ka exposure kisi corona patient se hua hay tua bukhar, sookhi khansi aur saans mein dushwari jaisi alaamaat ka baqaedigi se jaiza lein. Agar koi bhi aisi alamat zahir ho tau khud ko aik kamrey tak mehdood kar lein, kissi se na milein, din mein 2 baar apna bukhar check karein aur aglay 14 din aisey hi kartey rhein. Khoob paani piyen, cheekntay aur khanstey waqt tissue ka istimaal karein jo aik bandh dustin bin mein phainkein aur apney bartan bilkul alag kar lein. Agar ghar mein koi buzurg afraad hein tau un sey bilkul duur rahein. Jaisey hi tabiyat zyada kharab ho foran government helpine 1166 par rabta karein aur ambulance aaney ka intizaar karein. Yaad rahey k new coronavirus yani COVID-19 aik respiratory virus hey jo cheenkney, khaansney aur hath milaney se phailta hey. Is liye doosron se kam as kam 6 ft ka samaji faasla rakhna, bar bar hath dhona aur mask pehn kar bahir nikalna apko is jaan leva bemari se bacha saktey hein.



Back to List