Coronavirus Se Bachao Ki Tadabeer

By:Zoya

Covid 19, jisay novel coronavirus bhi kaha jata hai aik jadeed virus hai. Ye virus khansnay ya cheenknay ya mutasira shakhs se mail jol se aik doosray main muntaqil hota hai. Is virus se duniya bhar main ab tak laakhon amwaat ho chuki hain lekin aksar cases main mareez is virus se sehatyaab ho jata hai. Coronavirus ke liye ab tak koi ilaj dareyaft nahi ho saka. Bahar haal duniya bhar ke science daan coronavirus ke ilaaj ke liye vaccine bananay ki bharpoor koshish kar rahay hain.

Corona Virus ki Alamaat

• Covid 19 ki aam alamaat main bukhaar, thakan aur khushk khansi shamil hain.

• Jab ke ghair mamuli alamaat main sar dard, diarrhoea, songhnay ya chakhnay ki hiss kho dena, jild par kharashain, jism main dard aur ashoub e chashm shamil hain.

• Is ke ilawa Covid 19 ki chand sangeen alamaat main saans lenay main dushwari ya sans phoolna, seenay main takleef, chuban ya dabao ka ehsaas aur bolne or harkat karnay main mushkil paish anaa shamil hain.

Ehtiyati Tadabeer Abhi tak Coronavirus ka koi ilaaj dareyaft nahi ho saka. Is liye filhaal is se bachao sirf ehtiyati tadabeer ko apnane main hai. Taham dunya bhar main is virus ke khatmay ke liye vaccine tayar karne ke liye tajarbay jari hai. Aalmi idara-e-sehat, dunya bhar ke behtreen doctors aur science daano ki janib se corona se bachao kay liye tajaweez paish ki gayi hain.

Aiye jantay hein. Covid 19 se kaise mehfooz raha ja sakta hai!

• Hathon ko din bhar waqfay waqfay se sabun aur pani se dhotay rahein. Agar sabun aur paani mauyasir na ho tou sanitizer ka istemaal karain jis main kam az kam 60 feesad alcohol maujood ho

• Bil khasoos agar aap bahar se aye hain ya aap ko khansi ya cheenk ayi hai tau apne hathon ko kam az kam 20 second se sabun se achi tarhan dhoyain

• Apne munh, naak aur ankhon ko hath laganay se guraiz karain

• Social distancing yani samaji fasla apnayain. Logon se kam az kam 6 ft ka fasla rakhain chahay aap ko un main Corona ki alamaat mehsoos hon ya na hon

• Ghar main rahain aur koshish karain ke bila zarooat ghar se bahar na niklain

• Ghar se bahar janay ki soorat main mask aur gloves zaroor pehnain. Youn virus ke muntaqil honay ka khatra kam ho jata hai.

• Apne ghar, gari, phone aur laptop jaisi cheezon ko disinfectant se saaf kartay rahain

• Aisi ghizaon ka istemaal karain jis se quwat-e-mudafiat mazboot ho sakay. Jaisa ke adrak, lehsun, palak, machli, haldi, kino, malta, dahi aur badaam waghaira ko apni rozmarah ghiza main shamil rakhain.. Aur sath sath pani ziada se ziada piyain ta kay pani ki kami se jism main kamzori lahak na ho sakay.

• Agar aap main ya ghar ke kisi fard main Covid 19 ki alaamat zahir honay lagain tou fori us fard ko ghar main hi alehda kar dain aur alaamat ka jaiza letay rahain. Soorat e haal sanjeeda honay ki soorat main doctor se rabta karain. Agar alamaat shadeed na hon tau hospital janay se guraiz karain.

• Zoya app ke symptom checker se apna jaiza khud karain Agar aap coronavirus ki batayi gayi alamaat main se koi mehsoos kar rahay hain tou COVID19 test zaroor karwayain. Ta kay kisi paichidgi se bacha ja sake. COVID19 ki tashkhees ke liye PCR test kiya jata hai. Aur Coronavirus ke mareez ka sehat yab honay ke baad antibody test kiya jata hai. Jis se pata chalta hai ke mareez man is viruse se larnay ke liye quwat-e-mudafat hai ya nahi. Bar waqt test karwanay se baqi ghar walon ko mehfooz rakha ja sakta hai aur virus ke phelao ko control kiya ja sakta hai. Sirf mustanid maloomaat pe yaqeen karain aur ehtiyati tadbaaer pe amal kartay rahian.



Back to List