Kia Corona k Doraan Maa Bachay ko Doodh Pila Sakti Hey?

By:Zoya

Nauzaida Bache aur aik maa ka taa'luk paidaish ke baad aur bhi mazboot ho jaata hye. Paidiash ke pehle jab ke maa ki khuraak se bache ko nasho numa faraham hoti hai wahin par paida honay ke baad wo nasho numa pehle saalo main bache ko maa ke doodh se muyasir hoti hai. Dabbay ke doodh ya powdered milk ke muqablay main breasteeding se bachay ki quwat e mudafiat mazboot hoti hai jab ke maa aur bache ke rishte ko bhi naya rang milta hai. Breastfeeding Covid 19 Ke Dauran Kyunke Covid 19 ke is daur main har haal main samajhi alaidhgi par zor diya gaya hai is asna main nauzaida bachon ki maa'on ke zehno main sawal uth ta hai ke kya unka apne bache ko doodh pilana bache ke liye khatarnaak hai ya nahi. Sainsi aitebaar se iska jawab hai ke nauzaida bachon ki maa'ain apne bacho ko doodh bilkul pila sakti hain kyunke WHO aur UNICEF ki tehqeeq ke mutabiq maa ke doodh main Covid 19 ke jaraseem maujood nahi jab ke maa khud us bemari main mubtala ho ya na ho. Is khushkhabri ke bawajood har kisam ki ehtiyat baratna lazmi hai. Coronavirus Main Mubtala Maa Aur Breastfeeding Tehqeeq ne ye tou sabit kardia ke maa ke doodh main Covid 19 ke jaraseem nahi paye jatay magar is ke illawa degar aise mauke hain jin main agar ehtiyat na barti jaye tou nauzaida bache ko bhi maa Corona ho sakta hai. Agar aap Corona virus main mubtala hain aur apne bache ko doodh pilana chahti hain to • Apne aap ko saaf rakhain, hath mun ache tareekay se dhoye • Bache ko pakarne se pehle gloves pehnain aur mask ka lazmi istemaal karain • Har tarhan se bache ki jild ko choone se guraiz karain aur breastfeed karanay ke baad bache ko apne aap se alag rakhain. • Pumping ke zariye doodh bhi pilaya ja sakta hai agar maa is qabil nahi ke bache ko pakar sake • Corona virus ke alamaat main khansi hai jis ke zariye se jaraseem phelte hain tou ziada khansi ki soorat main bhche ko apne se alag kamre main rakhain. Agar ap bemari ki shidat ki waja se bache ko doodh nahi pila sakti tou behtareen doodh ka intikhaab kar ke bache ki khuraak puri karain. Breastfeeding dono maa aur bache ke liye faidamand hain kyunke ye maa ke jism main barhtay hoye hormonal utaar charhao ko control karta hai stress tension jaisi kaifiat ko kam karta hai. Ye yakeenan aik bohat mushkil waqt hai khas tor par nai maa'on ke liye kyunke samajhi alaidghi ki waja se wo rishtedaaro ka shara nahi le sakti isiliye ghar par maujood log unka aur bache ka khayaal rakhain aur dosto rishtedaaro se phone ke zariye raabte main rahain.



Back to List