4 Tareekay Jin Se Aap Apni Quwat e Mudafiat Ko Barha Saktey Hain

By:Zoya

1. Giza Aur Ajza Ghizaiyat bhari khoraak behtareen quwat e mudafiat hasil karne ka adha rasta hai. Agar hum apne khaanay peene par ghaur karain aur gair sehatmand cheezon ke bajaye sehatmand ghiza ka iistemaal karain tou ye kafi had tak hamari sehat ko bemarion ke muqablay main mazboot bana sakti hai. Phal, sabzi jo vitamin C aur calcium se bharpoor hon yani lemon, kadu, kheera, tamatar waghera. Is ke illawa anti allergy quwat rakhne wali cheezain yani laung, lehsun, adrak, kalaunji waghera ko kehway (green tea) main istemaal karain. Dry fruits akhrot, badaam aur daalain jism ki ghizaiyat barhati hain. Machli aur olive oil bhi quwat e mudafiat par behtareen tareekay se asar andaz hoti hain. Is dauran bazaari khanay aur aisi cheezain jin main ghair khalis cheeni maujood ho un se ehtiyaat karain. Pani ka istemaal sab se ehem hai kyunke viruses aksar kamzori aur dehydration ki kaifiyat paida karte hain. Sehatmand ghiza ka istemaal beemari ko jism par hawi hone se rokay ga isi liye khalis aur behtareen khoraak istemal karain. 2. Munfi Soch, Munfi Asraat Agar hum ye sochne lagain ke hum bemaar hain tou is baat main koi shak nahi ke hum apne aap ko yaqeeni taur par bemaar man'nay lagain gay. Shakook o shubhaat insaan ko kamzor kar detay hain kyunke wo shaks har waqt 'agar' aur 'magar' ki zad main rehta hai. Ghair zaroori sochne aur bewaja stress leinay se sehatmand shakhs bhi bemari main mubtala ho jata hai. Isi liye ye sochain ke jo bhi koshish aap sehatmand rehne ke liye kar rahay hain wo kamyaab rahay gi aur aap beemari se chutkara pa lein gay. Koshish karain ke apne aap ko har mauke par positive rakhain kyunke behtar sochne se behtar asraat zahir hotay hain. 3. Warzish Ke Faiday Corona aur pneumonia jaise viruses se phelne wali bemariyan aap ke jism ke kuch hisson par ziada asar andaaz hoti hain jaise ke phepray aur sans lenay ki salahiyat. Jo log warzish ke ziada qayel hain unko thakan aur saans main kam dushwari lahak ho gi kyunke unka system aur stamina warzish ki waja se warzish na karne walon ke muqablay main behtar hai. Warzish jo ghar main ba'asani ki ja sakti hai jaise ke cycling, bhaag dor, skipping aur kayi aisi warzishain jin ki internet par video dastyaab hai. Is ke illawa warzish karne walay afraad apni kamzori ko door karne ke liye khalis aur quwat e mudafiat mazboot karne wali ghiza ka istemaal lazmi karte hain jo beemariyon ke khilaf larne main bhi unke liye faida mand sabit hoti hai. 4. Dawai Se Judai Aksar log ghabrahat main dawai ka istemaal karne main zara nahi sochte aur doctor se rujuh karte hain. Dawai ka istemal asar andaaz zaroor hota hai magar hgair zaroori mauke par jabke gharelu totko ke zariye bhi beemari par qabu paya ja sakta hai. Is asna main dawai ka asar kam hojata hai yani ke uske asar karne ke liye dawa ki miqdaar ko barhatay rehna parhta hai. Isi liye bukhaar, sar dard aur deegar aisi chote alamaat ke liye yakhni, bhaap aur herbal tarakeeb ka istemal karna behtar faisla hai. Jab ke kaifiyat bigarne par doctor se rujuh karna azmi hai. Uper darj tamam tareeko se aap apni Quwat e mudafiat ko viruses ke muqablay main barha sakte hain, in tamam ehkamaat par amal sehatyabi ki taraf gamzan zindagi ki nishani hai.



Back to List