Lockdown Mein Apna Khayal Kesay Rakhain?

By:Zoya

Dosto, Covid 19 ne ham sab ki zindagi aur routines ko badal diya hai. Is samaji doori ke mahool main kayi log apne dosto, ghar walon aur colleagues se door ho gaye hain aur akela pan mehsoos kartay hain. Jis ki waja se logon main udaasi aur depression barh raha hai. Aisay waqt main hamain pehlay se zayada apna khayaal rakhna chahiye. Zoya aap ke liye layi hai kuch aisi tips aur mashwaray jin se aap samaaji aledghi ko enjoy kar sakte hain. 1. Roz Marra Ki Routine Ghar main ziada waqt guzarne ki waja se boriyat ki kaifiat hawi ho jati hai. Boriyat se bachnay ke liye apni routine banayain aur usay follow karain. Choti se choti cheez ko bhi routine main shamil karain takay har cheez zaroori mehsoos ho aur aap ka zehan in tamam kamo main mashghool rahay. Routine bananay se aap nafsiyati taur pe apne waqt ko qeemti samajhtay hain aur sara din bistar par letay social media par nahi guzartay. Agar aap routine se bore honay lagain tau har roze kuch naya karain maslan kisi nayi kitab ka mutala karain, movies dekhain aur har roze kuch naya karny ki koshish karain ta kay aap ka din itminaan se guzray. 2. Chand achi adaat Achi khorak khana, shukar guzaar hona aur doosron se mohabat se paish aana chand aisi cheezain hain jinhain apnanay se zindagi main musbat tabdeeliyan aati hain. Chahay waba ho ya na ho ye teeno cheezain humesha zindagi ka hissa honi chahiyen. Lazeez khanay bana kar khayain aur apni family aur doston se mobile phone ke zariye rabtay main rahain. Dosto! Shukarguzari ka rawaiya apnayain aur pur umeed rahain! 3. Khud se pyaar Khud se pyar ka matlab hai ke apne aap ko bila waja pareshani aur mayoosi se door rakha jaye. Khas taur par un baaton ke liye pareshan na hua jaye jo aap ke control main nahi hain. Waba ke bayis duniya bhar mein jo halaat ban chukay hain unhain ham tabdeel nahi kar saktay. Lehaza haalat o waqeyat se ba khabar rahain aur usi mutabiq khud ko dhaalain. 4. Naye mashghalay apnayain Dosto, ye waqt kafi ghair mutawaqo hai jis ki waja se na umeedi phail rahi hai. Agar doosra pehloo dekha jaye tou is waba main lockdown ke bayis bohat sa farigh waqt muyasar hai. Jab ke lockdown se pehlay itna waqt mayasar nahi tha. Is waqt ko aap apny pasandeeda kaam karnay ke liye istamal kar saktay hain. Exercise karain, koi nayi zuban seekhain, cycling karain, khana banana seekhain aur deegar aisi sargarmiyan jin ke liye is se pehle waqt nikalna na mumkin tha! Dosto is waqt main hum sab aik sath hain chahay hum dunya ke kisi bhi konay main kyun na hon. Apne doston aur ghar walon se raabte main rahain khas tor par un se jo beroon e mulk akelay hain. Rabtay main rehna aur aik dusre ki parwa karna hamain aik doosray se joray rakhta hai aur mushkil waqt main umeed deta hai.



Back to List