Self-Love Kya Hey Aur Yeh Kyoun Zaroori hey?

By:Zoya

Friends, aj mein aik bohat hi interesting topic k baarey mein baat karney jaa rahi hoon. Self- Love yani k khud se muhabbat aur apni qadar jan’na. Yeh kia hey, kyoun zaroori hey aur humey kis tarhan aik behtreen insaan bana sakti hey. Chalein dekhtey hein. Self-Love se murad hey apney app se bey-los muhabbat karna aur apni qadar jan’na. Is mein har wo amal shamil hey jo apko khud aitemadi, kushi aur mutmaeen zindgi ki taraf barhata hey. Self-Love ka matlab Selfish yani khud gharz hona hargiz nahi. Na hi iska matlab maghroor hona ya apney ap ko doosron se balatar samhajna hey. Dar haqeeqat Self-Love apko har haal mein apney app ko accept karnay aur apney se bey-los muhabbat karna seekhata hey. Kuch iss tarha sochein. Walidain aur bachon ka rishta kaisa hota hey? Bay-gharz na? Baghair kisi condition ya shart ke aik doosrey se pyar kartay hein? Ya phir ap aur apki best friend ka rishta! Agar kabhi oonch neech ho bhi jaye tau foori maafi mil jati hai. Bilkul isi kism ka pyar hamai apney aap se bhi karna chahiyeh. Jis tarhan aap apney pyaron ke sath raham dilli aur sabr ka muzahira kartay hein ussi tarhan apney sath bhi karein. Meri bohat si saheliyan apni qadar karna nahi jaantein. Mein bohat motti hoon, mujhey apni shakal pasand nahi, mera kadd bohat chotta hey ya phir apney sath honay wali har na-insaafi ko apni ghalti tasleem karna. Self-Love ka matlab hey apni achaiyon, burayoun aur kohatayoun ke sath khud ko mukamal tor par qabool karna aur khud aitemadi ke sath apney aap ko behtar se behtar bananey ki koshish karna. Iss wajah se nahi ke aap kisi doosrey ko khush karna chahti hein, bulkey sirf iss liye ke yeh aap ki apni khushi hey. Self-Love apnaney waley log khud aitemad, hans mukh, raham dil, aur zindigi mein kaafi mutmaein aur khush nazar aatey hein. Tehkeek k mutabiq inn logon mein depression, anxiety ya mayoosi bohat kam payi jaati hey. Inhey maloom hota hai ke in ke liye kia aham hey aur kia nahi. Yeh sirf aisey logon ko foqiyat detay hein jo in se bey-los mohabbat karein aur inki zindigi mein aik musbat kirdaar ada karein. Kyoun ke inhain apni qadar khud karna aati hey lehaza wo har us shaks ya cheez se duur rehtay hein jo inko nuksaan pohanchaye. Issi tarha Self-love ki aik barri misaal zaati hadood qaim karna bhi hey. Iska matlab yeh hai ke yeh afraad achi tarha jaantey hein ke kon si cheezein inke zehani sakoon ke liye achi hein aur konsi nahi. Yehi nahi bulkey ye apney ird gird afraad ko bhi iss se agah kartay hein. Bazahar tau yeh amal hamain selfish yani khud parasti lagta hai par yeh hamari khuddari aur izzat-e-nafs ki liye intihai aham hey. Ab aatey hain kuch aisi misaalon ki taraf jo self-love main shumar nahi hoti. Jaisey ke mein ney apko pehlay bataya ke apni zarooriyat ko humesha peechay rakhna, sirf doosron ki khushi dekhna, kisi ka zulm ya na insaafi bardasht kartey rehna, har uss cheez par yaqeen karna jo doosrey aap ke khilaaf bolain ya karein. Apney haq k liye awaz na uthana aur bardasht ki koi had qayam na karna. Aisey afraad aksar toxic relationships yani aisey rishtay jin mein nafsiyati ya jismani ziyaditi shamil ho, ka shikar hotey hein aur inhain samhaj nahi aati ke inn ke sath kia ho raha hai. Agar aa bhi jaye, tau in mein itni khud eitamadi nahi hoti ke yeh iss se nikal payein. Afsos hai ke hamarey muashrey mein aksar khawateen iss ka shikar hein. Shayad iss liye kyoun ke baishtar gharanon mein bachpan sey hi larkiyoun ko larkon ke muqabley mein peechay rakha jaata hai. Aur unhein seekhaya jata hai ke wo doosron ki zarooriyaat ka pehlay khayal rakhein, qurbani denay ek liye har waqt tayar rahein aur apni khushi radd kar ke pehlay maa baap aur phir shohar aur susraal ki khushi ko tarjeeh dein. Kisi aur ki khushi ko tarjeeh dena koi burri baat nahi magar agar iska matlab apni khushi ka galaa ghotna hai tau yeh hargiz durust nahi. Mahir-e-nafsiyaat ke mutabiq aisey afraad aksar depression aur mayoosi ka shikaar ho jaatey hein. Dosto app ney dekha ke apni qadar karna kyoun zaroori hey? Yeh wahid amal kisi bhi haal mein aik khushaal aur mutmaeen zindigi ka zamin ban sakta hey. Khud se mohabbat karna kisi bhi umr mein seekha ja sakta hai chahey apki parwarish kaisey bhi hui ho. Meri App ka Sehatnama suntay rahein. Mein jald hi apko kuch asaan tareeqay bataon gi jo apke Self-Love ke safar mein madadgar sabit hon gey.



Back to List