Janiye Mahwari Kiya Hai?

By:Zoya

Jaise mahwari ko periods, menses aur haiz jaise mukhtalif naamon sey jana jata hai. Issi tarah har larki kay liye mahwari ki alamaat bhi mukhtalif hoti hain. Lekin aksar larkiyan manti hain kay wo kabhi kabhar mahwari ki wajah sey sharmindagi mehsus karti hain. Lekin kya aap iss sey zeyada mahwari kay barey mein kuch janti hain? Agar nahi, tau aiye mein aap ko batati hun! Kyunkay janna aap ka haq hai. Mahwari sirf khoon ka behna nahi hota. Mahwari aik cycle hai jo aap kay jism ko hamal kay liye tayar karta hai. Larkiyon ko aam taur pey 11 sey 14 baras ki umar kay doran mahwari shuru ho jati hai. Jabkey kuch larkiyon ko mahwari 8 baras ki umar mein hi shuru ho jati hai. Aur baaz ko 16 baras kay baad mahwari hoti hai. Mahwari har 21 sey 35 roze kay baad hoti hai aur 2 sey 7 dino tak jari rehti hai. Lekin choti umar mein aksar mahwari ka mamool baqayeda nahi hota. Aur mahwari ko regular hone mein waqt lagta hai. Aiye ab baat karte hain khawateen kay reproductive system yani nizam-e-tauleedi kay barey mein: Reproductive system mein vagina, uterus, ovaries aur aise hi bohat sey doosrey azaa shamil hain. Vagina reproductive system ka wo hissa hai jo uterus sey jurrta hai. Uterus reproductive system ka wo hissa hai. Jis mein hamal kay doran bacha parwarish pata hai. Jabkey ovaries mein unn tamam hazaron eggs ka zakheera maujud hota hai. Jin mein sey sirf 1 adad egg har maheenay ovaries sey kharij hota hai. Iss amal ko ovulation kaha jata hai. Agar sperm yani male egg aur female egg ka milaap ho jaye, tau hamal ho jata hai. Iss amal ko fertilization kehty hain. Lekin agar egg ki fertilization na ho sakey tau yeh egg toot phoot ka shikar ho jata hai. Aur iss kay sath sath uterus kay tissues bhi tootne lagte hain. Aur blood ki soorat mein vagina sey kharij hone lagte hain. Jissey ham mahwari kehty hain. Ho sakta hai aap ko yeh sab batein sun kar ajeeb laga ho ya sharmindagi mehsus hui ho. Agar aisa hai tau ghaur kijiye aisa kyun hai? Kya aap kay sharminda hone ki wajah yeh hai kay sab mahwari ko sharmindagi ka bayes samajhtey hain? Lekin yaad rakhein kay mahwari aik qudrati amal hai aur iss mein sharmane ki koi baat nahi.



Back to List