Anemia Se Kesay Bachain?

By:Zoya

Anemia kay barey mein aap ney suna tau hoga! Iss article mein apko yeh batayein gey kay anemia kya hota hai aur iss sey kaisy bacha ja sakta hai. Agar aap anemia ko samjhna chahty hain. Tau samajh lijiye kay apkey poorey jism aur tamam azaa ko saans leny ki shadeed zarurat hai. Lekin aap kisi taur saans nahi ley patey. Issi kaifiyat ka naam anemia hai! Yeh tau aap yakinan janty hon gay kay apke jism aur tamam azaa ko sahi taur pey kaam karny kay liye oxygen ki zarurat hoti hai. Lekin saheliyo… kya aap janti hain kay khoon mein maujud red blood cells ka kya kaam hota hai? Red blood cells phephron sey oxygen ko apny sath latey hain aur jism kay tamam azaa tak pohnchahty hain. Anemia kay mareezon mein red blood cells ki tadad khoon mein intehayi kam ho jati hai. Ya in cells mein maujud protein ‘hemoglobin’ bohat kam ho jati hai. Jiski wajah sey jism ko puri tarah sey oxygen nahi milti. Aur anemia ki alamaat zahir hony lagti hain. Anemia ki alamaat mein shamil hain: Sar chakrana Sar ka dard Peeli rangat Hathon aur pairon ka thanda rehna Bhook na lagna Hamesha thakan mehsus karna Aksar anemic afrad inn alamaat ko mamooli samajh kar nazar andaz kar dety hain. Agar aap yeh alamaat mehsus karty hain tau fori doctor sey rabta karein. Kyunkay agar anemia ka ilaj na kiya jaye tau yeh marz jaan lewa ban jata hai. Aiye ab janty hain kay anemia sey bachao kay liye kaisi ghizayein khani chahiye? Anemia sey bachao ka behtreen tarika hai kay Iron sey bharpoor ghizayein khayi jayen. Sabz paton wali sabziyan jaisy kay palak, azaa ka gosht maslan gurdey, giriyan meway, beej aur anaaj aisi ghizayein hain jo iron ya faulad (iron) hasil karny ka acha zariya hain. Anemic afrad kay liye dawaon kay sath mutawazan ghiza khana nihayat eham hai. Han yeh sach hai kay chaye, chocolates, candies aur fizzy drinks sabhi ko behad pasand hoty hain. Lekin yeh tamam cheezein iron ko khoon mein shamil hony sey rokti hain. Iss leay yeh sab cheezein sehat kay liye fayedamand nahi hain. Hamary muashrey mein ghurbat aur shaoor ki kami 2 aisy masayel hain jinkay bayes anemia ka marz muashrey mein aam hai. Kam umar larkiyon mein anemia hony ki 2 wujoohat ho sakti hain; nasho-numa kay doran hony wali tabdeeliyan aur mahwari kay doran khoon behna. Khawateen aksar zachgi (delivery) kay doran izafi khoon beyh jany kay bayes anemia ka shikar ho jati hain. Dehat aur qasbon mein rehny wali khawateen ko anemia hony ka khadsha zeyada hota hai. Kyunkay unki ghiza mein iron aur vitamin B-12 shamil nahi hota. Lekin saheliyo… achi ghiza kha kar ham anemia sey muqabla kar sakty hain. Tau ehad kijiye kay aj sey ham sirf sehatmand ghiza hi khayen gay!!



Back to List