Facial Scrub Ghar Pe Banaen

By:Zoya

Aj ham apko batayein gay kay blackheads sey bachao ka asaan tareeka kya hai! Ab facial scrubs bazar sey khareedny ki zaroorat nahi. Kyunkay aaj ham apko sikhayen gay ghar pey facial scrub tayar karny ka tareeka.Youn apky paisy bhi kharch nahi hon gay aur blackheads sey chutkara bhi mil jaye ga. Aur haan! Sab sey achi baat yeh hai kay iss mein shamil qudrati ajza jild ko nuqsan nahi pohnchaty. Saheliyo! Suni sunayi baton par yakin kar kay pore strips istemal mat karein. Pore strips ki glue apki t-zone yani peshani, naak, hont aur thori pey maujud baalon ko ukhar dalti hai. Jabkey Dermatologists ka kehna hai kay hassas jild par pore strips istemal karney sey keel mohassey zeyada ho jaty hain. Scrub banany kay liye jo ajza darkar hain wo apko kitchen ya qareebi shop sey ba- asani mil jayen gay. Apko chahiye: 1. Aadha chaye ka chamach leemun 2. 1 khany ka chamach namak 3. 1 chaye ka chamach pani Aiye ab seekhtay hain facial scrub banany ka tarika! Bananey ka treeka: Tamam ajza ko aik peyaley mein daal kar achi tarah mix kar lein. Aur lein ho gya tayar Scrub! Aiye ab seekhty hain kay scrub ko chehry par lagany ka sahi tareeka kya hai! Tareeka-e-istemal: 1. Ungliyon ki poron sey iss amezey ko apny chehrey per lagayen. Lagatey huye ungliyon ko chehrey par dayeron ki shakal main ghumayen 2. 1 minute tak ungliyon sey ahista ahista maltey rahein 3. Honton aur aankhon kay papooton ki jild choonkay hasaas hoti hai iss leay inn jaghon pey Scrub mat lagayen 4. Ab neem garam pani sey chehrey ko dho lein 5. Iske baad chehrey par thandey pani kay cheentey maarein. 6. Iss Scrub ko haftey main 1 ya 2 martaba lagayen. Yaad rakhein! Scrub ko chehry per mehaz 1 minute kay liye lagayein aur phir chehra dho lein. Ab aiyne kay samny jayen aur natayej apni ankhon sey dekhein. Yeh nikhra hua khoobsoorat chehra apka hi tau hai! Saheliyo! Ab apko mahireen ki raye sey bhi agah karti chalon. Namak kay barey mein mahireen ka kehna hai kay yeh danedar hony kay bayes purani jild aur mail ko utar phenkta hai. Jabkey leemun mein maujud citric acid jaraseem-kush hota hai lekin iss ka zeyada istemal nahi karna chahiye. Chehry ki jild chunkay naram aur hasas hoti hai. Iss liye main apko batati chalon kay scrub lagaty huye apko kin baton ka khyal rakhna chahiye! Ehtiyati tadabeer: 1. Istemal sey pehley Scrub ko jild kay aik mukhtasar hisey pey lagayein. Agley 24 ghanton mein jayeza lein kay kya apko sozish ya jalan mehsoos hoti hai. 2. Leemun ka ras chunkay tezabi hota hai. Iss leay yeh jild ko nuksaan pohancha sakta hai. Lehaza Scrub banaty huye hameisha pani ki mikdar ko leemun ki mikdar sey 2 guna zeyada rakhein. Hasas jild ko tar-o-taza rakhny kay liye qudrati ajza sey bana yeh scrub behtreen hal hai.



Back to List