Dandruff Se Mukamal Chukara!

By:Zoya

Dandruff … yani sar mein chipchipahat, kharish aur… sharmindagi. Kya iss sey zeyada aap dandruff kay barey mein kuch jatey hain? Har koi janna chahta hai kay dandruff kyun hoti hai. Bohat sey logon ka khayal hota hai kay dandruff ka taluq apke balon ki sehat sey hai. Jabkey dandruff ki asal wajah malum nahi hai lekin experts kay mutabiq jo wujuhat ho sakti hain, wo hain: a. Malassezia naami fungus qudrati taur pey sar ki jild pey maujud hota hai. Kuch logon ka immune system fungus kay khilaf react karta hai. Iss reaction ki wajah sey bohat sey skin cells dead ho jate hain aur dandruff ka bayes banty hain. b. Seborrheic dermatitis aik aisi kaifiyat hai jis sey jild kay mukhtalif hisson maslan kaan, chehra, seena, kamar, baghlein ya tangon waghera pey khushki ho jati hai c. Haircare products, shampoos ya dyes bhi dandruff ki wajah ho sakte hain d. Agar baalon ko baqayedagi sey shampoo sey dhoya na jaye tau sar pey chiknayi aa jati hai aur dandruff ka bayes banti hai Dandruff koi khatarnak masla tau nahi hai lekin iss sey mukamal chutkara pana asaan nahi hai. Wese tau dandruff kay khatmey kay liye medicated shampoos istemal kiye ja sakte hain. Lekin ham apko batayein gay kay aap gharelu nuskhon sey kaise dandruff pey qabu paa saktey hain. 1. Tea tree oil mein pani kay chand qatre shamil karein aur sar pey iska massage karein 2. Leemun kay slice ko apney sar ki jild per chand minutes kay liye ragrein 3. Aloe vera gel sey sar mein massage karein aur 30 minutes tak younhi chor dein 4. Aik andey ki zardi mein 2 tablespoon sesame seed oil aur dahi shamil karein. Ab iss mixture ko sar mein 30-minute lagayein 5. Neem garam pani mein sirka milayein aur uss pani sey apna sar dhoyein. Inn tamam nuskhon kay sath sath balanced diet khane sey jild sehatmand rehti hai aur dandruff jaise masayel ka imkan kam hota hai. Agar tamam nuskhon kay bawajud apki dandruff mein kami nahi ati ya agar aapka sar sozish ka shikar ho jata hai tau apko zarur dermatologist sey rabta karna chahiye.



Back to List