Mahwari Mein Sehat-o-Safayi Ka Khyal Kaisay Rakhna Chahiye

By:Zoya

Mahwari aik qudrati amal hai aur mahwari hona tandrusti ki alamat hoti hai. Lekin iss kay bawajud mahwari ko sharam ka bayes samjha jata hai. Yahan tak kay kuch log iss baat pey yaqeen rakhty hain kay mahwari napaak hoti hai. Iske ilawa mahwari kay doran nahana aur thanda pani istemal karne ko nuqsan-deh samjha jata hai. Aise ghalat nazariyat ki wajah sey bohat si larkiyan nahi jantin kay mahwari kay doran saaf suthra rehna kitna zaruri hai. Aiye aap ko bataty hain kay mahwari kay doran aap ko kin baaton ka khayal rakhna chahiye: 1. Pad Rash sey bachne kay liye hamesha 4 ghanton kay waqfey sey apna pad zarur tabdeel karein. Lekin agar khoon ka bahao bohat zeyada ho tau 4 ghanton sey pehlay hi pad tabdeel kar lena chahiye. Agar geelay pad ko jaldi tabdeel na kiya jaye tau iss sey jild mutasir ho sakti maslan sozish aur kharish ka shikar ho sakti hai, jissey dermatitis kehtay hain. 2. UTI yani Urinary Tract Infection sey bachne kay liye apne khas azaa ko hamesha samney sey dhoyein. Youn jaraseem vagina tak nahi pohanchtey. Aur UTI hone ka imkan kam ho jata hai. 3. Reproductive Tract infections: vagina mein qudrati taur pey aise bacteria paye jaty hain jo bad bacteria ko infection ka bayes banney sey roktey hain. Lekin agar bohat deir tak pad tabdeel na kiya jaye tau vagina ka pH balance qayem nahi rehta. Jis kay bayes bad bacteria ki tadad mein izafa hota hai aur wo infection ki wajah bantey hain. Repoductive tract infection ki 2 qismein hain: Bacterial vaginosis aur Yeast/ fungal infection. a. Bacterial vaginosis mein vagina sey badbu-dar grey-white color ka mada kharij hota hai. Iskay ilawa peshab karty huye jalan mehsus hoti hai. b. Yeast/ fungal infection yeast cells ki tadad mein izafay ki wajah sey hota hai. Iski alamaat mein gher-mamuli kharish hona aur sufaid rang ka garha mada kharij hona shamil hain. Mahwari kay doran apni hygiene ka khayal rakhney sey infection sey bacha ja sakta hai. Lekin baaz auqat tamam tar ehtiyat kay bawajud bhi infection ho jata hai. Aisi surat mein aap ko gynecologist sey rabta karna chahiye.



Back to List