Kya Therapy Mufeed Hai?

By:Zoya

Zindagi mein kabhi kabhar aise halaat ka samna bhi karna parta hai jo apke liye na-pasandeeda ho sakte hain maslan maali masyael, gharelu ya khandani masayel aur bullying waghera. Aisi surat-e-haal ka samna karna har kisi kay liye asaan nahi hota. Aur kuch log depression ya anxiety ka shikar ho jaty hain. Aisi surat mein kya karna chahiye? Iss sawal ka jawab hai THERAPY. Aiye aap ko bataty hain kay therapy kay zariye aap apni zindagi mein kya behtari laa sakty hain aur iss ki iqsam kya hain. Therapy ki pehli qism hai: Counseling Agar aap bullying, parhayi ya khandanni masayel ki wajah sey depress rehty hain, tau counselor inn tamam maslon ko hal karne mein aap ki madad karta hai. Aur baat cheet kay zariye inn masayel ka hal talaash kiya jata hai. Agar aap kay school mein counselling services ka department maujud hai tau aap ko zarur madad leni chahiye. Therapy ki dusri qism hai: Psychotherapy Psychotherapy mein therapist aap kay masayel aur feelings kay barey mein sunta hai aur aap ki rehnumayi karta hai kay aap kaise inn masayel sey nimat sakte hain. Group Psychotherapy mein dusrey logon kay masayel sunney sey aap akele hi inn masayel ka shikar nahi hein. Anxiety aur depression kay khatmey kay liye psychotherapy behtreen hal hai. Therapy ki teesri qism hai: Cognitive behavioral therapy Agar ilaaj kay liye lambi mansuba bandi ki jaye tau psychotherapists CBT ka tareeqa apnatey hain. Iss tareeqa-e-ilaj kay zariye aap apni manfi soch aur rawiyon ko pehchan sakte hain aur unhe tabdeel kar sakte hain. CBT ghusa, aitemad ki kami, nashey ki adat aur eating disorder jaise masayel kay hal kay liye nihayat muasar sabit ho sakti hai. Therapy ki chothi qism hai: E-Therapy Agar aap therapy kay akhrajat afford nahi kar saktay. Tau iska hal E-therapy ya online therapy hai. E-tharapy mein meyari online courses kay ilawa aisey questionnaire ya sawalnamay bhi muft diye jaty hain jis sey aap apni zehani sehat ka jayeza ley sakty hain. Video chat programme kay zariye aap meelon door bethay kisi bhi psychotherapist sey rabta kar sakte hain. Therapy ki panchvin qism hai: Family Therapy Couple ya Family therapy mein aap aur apka khandan aik sath therapist sey mulaqat karty hain. Session kay doran khandan kay afrad aik doosrey sey baat karty hain. Aur aik doosrey kay masayel ko samajhne ki koshish karty hain. Agar khandan kay sab log aik doosrey ka nukat-e-nazar samajhne mein kamyab ho jayen tau sab ki zindagi asaan ho sakti hai. Therapy ki chatti qism hai: Creative Therapy Art therapy ki bohat si qismein hain. Jo dimagh ko active rakhne mein madad deti hain. Creative therapy main art, dance, ya music kay zariye aap apni soch ka izhaar karte hain. Jis sey aap ka depression kam hota hai, aitemad mein izafa hota hai aur aap apne masayel ko behter taur pey manage kar sakte hain Therapy ki saatvin qism hai: Medication Dawaon ka istemal nafsiyati ilaaj kay liye zaruri hai. Bohat zeyada depression hone ki surat mein psychiatrist ilaaj kay sath dawaon ka istemal bhi tajweez karty hain. Yaad rakhiye kay har qism ki therapy aap kay liye mauzun nahi ho sakti. Iss liye yeh janna zaruri hai kay therapy ki konsi qism aap kay liye mauzun hai.



Back to List