Mutawazan ghiza kya hoti hai?

By:Zoya

Kya apko pata hai kay nasho-numa aur mutawazan ghiza kay darmiyan kya taluq hai? Teenage kay doran jismani aur zehani nahso-numa bohat tezi sey hoti hai. Aur achi nasho-numa kay liye apko izafi calories ki zaroorat hoti hai. Jo sirf achi khorak sey hasil ki sakti hain. Aur kya aap janty hain, World Health Organization kay mutabiq ghizayat ‘wo khorak hai jo apke jism ki zaruriyat ko pura karti hai.’ Jabke achi ghizayat mein: ‘achi khorak kay sath sath rozana warzish karna bhi shamil hai.’ Ghiza ki ehmiyat kay barey mein janney sey pehley apko batatey chalein kay ghizaon ko 7 groups mein taqseem kiya gaya hai: Jin main proteins, carbohydrates, fats, fibers, minerals, vitamins, aur pani shamil hain. Aam taur pey nasho-numa ka aghaz 10 saal ki umar sey hota hai. Iss doran larkiyon ko har roze 1800 sey 2200 calories khaani chahiyen. Aur yeh tamam calories aap balanced diet sey hasil kar sakty hain. Balanced diet mein fruit aur sabzi, machli, chicken, beef, daalein waghera shamil hain. Inn tamam ghizaon mein calories ka aik zakheera maujud hota hai aur inn kay istemal sey aap motapey ka bhi shikar nahi hoty. Iske ilawa inn main ‘micronutrients’, yani kay vitamins aur minerals bhi maujud hoty hain. Jo hadiyon ko mazboot aur jismani nizam ko behter banatey hain. Achi ghiza sey na sirf aap ki nasho-numa achi hoti hai balke apki yadasht aur zehani salahiyatein bhi behter hoti hain. Iske ilawa quwat-e-mudafat mazbut hoti hai aur aap bohat si bimariyon ka shikar hony sey bach jaty hain. Lekin yeh mat bhoolein kay achi ghiza kay sath sath warzish karna bhi bohat zaruri hota hai! Rozana warzish karne sey jism mazbut hota hai aur dimagh taro-taza rehta hai. Iske ilawa quwat-e-mudafat bhi behtar kaam karti hai. Wesey tau din bhar apko pani peetay rehna chahiye. Lekin agar aap warzish karti hain. Tau apko zeyada pani peena chahiye. Kyunkay warzish karney sey apko paseena ata hai aur apke jism sey bohat sey salts aur pani paseeney ki surat mein beyh jata hai. Aiye ab baat karty hain kay waqt per khana khana kyun eham hai! Naujawani mein ham aksar parhayi, khel kood, aur doston mein iss qadar mashghool rehty hain kay waqt per khana khanay ko ehmiyat hi nahi detey. Iss ki bajaye qareebi dukan sey chips ka packet khareed lety hain. Snacks kha lenay sey sirf apki bhook ki shiddat kam hoti hai. Aur aap thori dair kay liye acha mehoos karne lagte hain. Lekin aapke jism aur dimagh ko tuwanayi nahi milti. Agar apko waqayi khana khanay ka waqt nahi milta tau apko snacks ki bajaye koi phal waghera kha lena chahiye. Kyunky phal qudrati hoty hain, Iss liye yeh nuqsan-deh nahi hoty. Achi zindagi kay liye achi sehat bohat zaruri hoti hai. Iss liye apni sehat sey pyar karein!



Back to List