PCOS Aur Wazan Ka Barhna

By:Zoya

Polycystic Ovarian Syndrome ya PCOS auraton mein paya jany wala aik hormonal disorder hai. PCOS kay nateejay mein hony waley masayel mein shamil hain: be- tarteeb mahwari, haiz kay doran shadeed dard, keel mohassey, jism kay mukhtalif hisson pey baal ugna, wazan ka achanak tezi sey barhna waghera. Doctors amooman wazan ko alamat samajhney ki bajaye bimari samajhtey hain. Iss ghalat fehmi ki wajah sey asal marz ka pata hi nahi chalta. Hamarey muashrey kay ilaj sey mutaliq ghalat nazariyat aur rawiyon ki wajah sey mareez kay liye ilaj karwana mushkil ho jata hai aur sharmindagi bhi uthani parti hai. Karachi ki rehney wali Ramisha Baig ney hamein apni kahani sunayi. Jinhein motapey ki wajah sey sharminda kiya jata tha aur unhein durust ilaj hasil karny mein kya mushkilat paish ayin. Aiye suntay hain Ramisha ki kahani: “Pehlay tau mahwari waqt per hoti thi. Lekin jab mein 22 ki hui. Tau mahwari 3 maheenay kay baad aney lagi. Mera wazan tau hamesha sey hi zeyada tha. Lekin uss saal mera wazan 8 kilo barh gaya. Mujhe shadeed depression ho gaya. Mein dawayein bhi khati thi. Aur meri therapy bhi ho rahi thi. Issi doran meri ami mujhe Karachi ki aik mashoor gynecologist kay pass ley gayin. Ham waiting room mein aik ghanta bethay rahy. Hamarey ass pass bohat si hamla khawateen maujud thin. Meri ami ney forms fill kiye aur nurses ko meray depression aur wazan barhney kay barey mein bataya. Nurse ney kaha kay wazan barhney ki wajah depression aur antidepressants ka istemal hai. Bil akhir doctor sey mulaqat hui. Doctor ney mujhe wazan karwany kay liye bhej diya. Jab mein wapis ayi tau doctor meri ami sey mere depression kay barey mein baat kar rahi thi. Iss sey pehlay kay mein doctor ko apni mahwari ka masla batati. Doctor mujh sey pochnay lagi: kya tum iss liay depressed ho kay larkay tumhain pasand nahi karty? Kya depression ki wajah yeh hai kay tumhein baqi larkiyon ki tarah tawajo nahi milti? Usney yeh bhi kaha kay iss sey farq nahi parta kay mere baal ghungrialay hain, ya meray kaprey dheelay dhaley hain, aur meri jild pey keel mohassey aur daagh hain ya meray chashmey tootey huye hain. Usney kaha kay mera wazan bohat zeyada hai. Jiska matlab hai kay mujhe thyroid disorder ya PCOS ho sakta hai. Usney kaha, “tumhein sirf apni diet per dheyan deny ki zarurat hai.” Doctor ney mujhe blood sugar ko control karny wali dawayein di aur bas ghar bhej diya aur antidepressants khany sey bhi mana kar diya. Inn dawaon kay istemal sey meri tabiyat bigar gayi aur antidepressants chorny kay baad meri zindagi be- sakoon ho gayi. Mein har waqt roti rehti ya mera zeyada waqt soney mein guzarta. Mujhe choti choti baton pey ghusa ata. Aik arsa sab youni chalta raha. Phir mein aik aur gynecologist kay pass gayi. Jis ney mujhe hormones control karny wali dawayein di aur antidepressants khany ka mashwara diya. Jis sey meri zindagi mein kafi behtari ayi. Usney mujhe bataya kay mein meethi aur charbi wali ghizayein na khaon aur exercise bhi karti rahon. 2 maheenon mein hi mera wazan kam hony laga. Aur dawayein khaney sey mahwari bhi waqt pey aney lagi. Ramisha ki kahani sey hamein pata chalta hai kay mushrey mein PCOS kay barey mein ghalat raye qayem hai. Jabkey larkiyon ko apny motapey aur zehani masayel ki wajah sey sharmindagi uthana parti hai. Inhi wujoohat ki bina per asal bimari ka pata nahi chalta aur mareez ka sahi ilaj nahi ho pata. Wazan barhna koi masla nahi balke yeh PCOS ki alamaat mein sey aik hai. Doctors ko chahiye kay wo mareez ki baat ko sunain aur samjhein.



Back to List