Urinary Tract Infection Kyun Hota Hai?

By:Zoya

Mardon ki nisbat auraton ko UTI hony ka zeyada imkan hota hai. Duniya bhar ki 11 feesad khawateen 16 baras ki umar tak UTI kay tajerbay sey guzar chuki hoti hain. Jabkey 50 sey 60 feesad khawateen ko zindagi mein aik dafa UTI zarur hota hai. Aur 25 feesad khwateen ko hamesha UTI hota rehta hai. Lekin kya aap ney kabhi yeh janna chaha kay iskay peechay wajah kya hai? Sab sey pehli aur zahiri wajah jismani nizam hai. Auraton kay pakhana aur peshab kay ikhraj ki jaghon mein bohat kam fasla hota hai. Jiski wajah sey jaraseem ka tabadala ba-asani ho sakta hai. Jo infection ka bayes ban sakta hai. Lehaza hajat rafa karny kay baad muslim shower ka istemal karein aur zaroor toilet paper bhi kyun ke nammi se zyada garaseem peda hote hain. Aik doosri wajah yeh hai kay auraton ki peshab ki naali bohat choti hoti hai. Aur jaraseem kay liye masanay tak pohanchna asaan hota hai. Geela underwear ya aisa underwear jis sey hawa na guzar sakti ho pehnnay sey, jaraseem ko phalney phoolney ka mauqa milta hai. Lekin UTI ka sabab sirf jismani nizam nahi hai, balke sahuliyat ki kami bhi aik wajah hai. Saaf paani ka na hona iss mislay ki sab sey bari wajah hai. Alooda pani ka istemal karny sey UTI ka khadsha barh jata hai. Public toilets ka na hona iss mislay ki doosri wajah hai. Public toilets na hony kay bayes auratein jab baher jati hain tau unhey peshab rokna parta hai. Youn jaraseem ki afzayesh taiz ho jati hai aur UTI ka sabab ban sakty hain. Bathroom jany kay khauf sey auratein pani bhi nahi peetin. Lekin kam pani peenay ki wajah sey masanay ki safayi nahi hoti aur jaraseem ki tadad barhny lagti hai. Inn tamam baton ko mad-e-nazar rakhein tau yeh samajh ata hai kay khawateen kay liye UTI sey bachna kitna mushkil hota hai. Agar UTI ka ilaj na ho tau gurdey kay masayel peda ho saktay hain. UTI sey bachao kay liye zaruri hai kay larkiyon ki sehat aur unkay masayel ko ehmiyat di jaye.



Back to List