Doctor Se Baat Karny Ke 4 Usool

By:Zoya

Doctor sey checkup kay doran waqt bohat mukhtasar hota hai. Iss liye mareez aur doctor ko aik dusrey sey tawun karna chahiye. Mareez ko chahiye kay wo doctor ko aapni baat samjhaye. Aur doctor ka farz hai kay wo mareez ki baat sanjeedagi sey suney. Aiye apko batatey hain kay doctor sey checkup kay doran apko kin baton ka khayal rakhna chahiye! 1. Pehla usool: Apne masayel ki aik list banayein Checkup kay liye zehani taur pey kitne bhi tayar ho jayen. Iss baat ka khadsha hamesha maujud rehta hai kay doctor sey baat karty huye aap eham sawal karna bhool jayen gay. Iska hal yeh hai kay aap apne tamam masayel aur sawalat pehlay sey tayar rakhein. Youn doctor sey mulaqat kay doran apka waqt zaya nahi hoga. 2. Doosra usool: Sawal poochne sey mat ghabrayein Dr. Daniel Meltzer aik Amriki mualij hain jo doctor aur mareez kay darmiyan hony wali guftagu ko moasar banany main madad dete hain. Unn ka kehna hai kay aap doctors ko aam insan samjhein aur unn sey youn baat karein jaise aap apne kisi dost sey baat karte hain. Youn doctor aur mareez kay darmiyan dostana mahol qayem hota hai, aur aap bila jhijhak apne masayel bayan kar sakty hain. Agar male doctor sey mahwari ya doosrey niswani masayel (problems limited to females only) kay barey mein baat karna aapko mushkil lagta hai. Tau behter hai kay aap kisi khatoon gynecologist ka intakhab karein. 3. Teesra usool: Apni medical history mat chupayein Bohat sey mareez sharmindagi kay bayes doctor ko apney maslay ki tafseel nahi bataty. Aur waqayi yehi asan lagta hai kay aap wo batein kisi sey na kahein jo apke khayal mein apki sharmindagi ki wajah ban sakti hain. Lekin agar aap ko maazi mein koi bimari ya masla raha hai. Tau doctor ko iss sey agaah karein. Aur apni medical prescriptions zarur sath ley kar jayen. 4. Chotha usool: Kya aap ko kisi kism ki allergy hai! Agar aapko kisi kism ki allergy hai ya apko makhsus dawayein khaney sey reaction ho jata hai. Tau iss baat ka ilm aap kay doctor ko zarur hona chahiye. Taa kay dawayein tajweez karty huye doctor iss baat ko mad-e-nazar rakhey. Aisa hargiz mat sochein kay doctors aap kay sawalat ko fuzool samjhe ga. Doctors kay liye mareezon ki baat sunna routine ki baat hai. Aur aapke masayel ki tafseel janney kay baad hi doctor apki madad kar sakta hai. Isliye sharmana nahi, batana hai!



Back to List