Acne Bananay Walay 5 Makeup Chemicals

By:Zoya

Ham sabhi iss aziyat sey waqif hain jab nihayat ghalat waqt per keel mohasse ban jaty hain, maslan kisi party sey pehle jis ka intezar apko hafton sey tha, kisi class presentation ya job interview sey pehle. Aise mauqon pey aap chahty hain kay apka chehra behtreen nazar aye aur apke aitemad mein kisi taur kami na aaney paye. Lekin kya aap ney kabhi socha kay keel mohasson ki wajah aapka pasandeeda makeup bhi ho sakta. Aiye aap ko batatey hein kay makeup mein shamil konse aise 5 chemicals hain, jo acne ka bayes ban sakte hain. 1. Silicone: Chehre per lagayi jane wali foundation mein aksar dimethicone shamil hota hai, jo silicone sey bana hota hai. Silicone jild per aik teh bana deta hai jo kayi ghanto tak qayem rehti hai aur jild ko naram rakhti hai. Lekin iss teh mein paseena jazb ho jata hai. Jis sey skin pores yani kay jild kay masaam band ho jatey hain. Youn silicone acne aur sozish ka bayes banta hai. 2. Alcohol: Skin products mein drying alcohols iss liye shamil kiye jaty hain kyun kay yeh jild ko tazgi bhara halka phulka ehsas bakhshty hein. Lekin alcohol sey baney cleanser apke chehre ki jild ko khusk bana dete hein aur jild ki sozish ka bayes bante hain. Lehaza wo products istemal karni chahiyen, jin mein munasib miqdar mein non- drying alcohols maslan cetyl, stearyl aur cetearyl shamil hon. 3. Petroleum: Petroleum products jild ki nami ko lock kar kay isey khushk hone sey bachate hain. Lekin iskay sath sath yeh jild kay masaam ko band kar dete hain aur jaraseem kay liye sazgar mahol peda karte hain. Jis sey jild sozish ka shikar ho sakti hai. Petroleum sey baney chand ajza jo aksar makeup products mein shamil kiye jaty hain, unkay naam hain: benzene, toluene, mineral oil aur paraffin wax. 4. Acrylics: Acrylics ka kaam makeup kay ajza ko aik sath jorray rakhna hai aur yeh buniyadi taur pey plastic sey banaya jata hai. Iska zeyada istemal hassas jild kay liye nuqsan-deh ho skta hai. Kyunkay acrylics sey baney ajza jild kay masaam ko band kar dete hain. Jiskay nateejey mein keel mohasson ki tadad mein izafa ho jata hai. 5. Coconut oil: Coconut oil mein qudrati taur pey aise ajza paye jaty hain jo jaraseem sey lartey hain aur jild ko acne sey mehfuz rakhtey hain. Lekin agar aapki jild chikni yani oily hai tau apko coconut oil wali products istemal nahi karni chahiyen. Kyunkay coconut oil comodogenic hota hai yani yeh jild kay masaam ko band karta hai. Aur nateeja… phir wohi… acne! Aksar larkiyan yeh nahi jantin kay makeup mein shamil bohat sey chemicals hassas jild kay liye kis qadar nuqsan deh ho sakty hain. Makeup product khareeddne sey pehle hamesha ajza ki list zarur parh lein. jayeza lein kay aapki skin dry, normal ya oily hai. Aur wohi makeup khareedein jo aap ki skin type kay liye mauzun ho.



Back to List